Waheed (@Weeddd_) profile picture

A fucking nobody.

Karachi, Pakistan
Joined May 2022
Photo by Waheed (@Weeddd_)Photo by Waheed (@Weeddd_)Photo by Waheed (@Weeddd_)Photo by Waheed (@Weeddd_)Photo by Waheed (@Weeddd_)Photo by Waheed (@Weeddd_)Photo by Waheed (@Weeddd_)Photo by Waheed (@Weeddd_)Photo by Waheed (@Weeddd_)Photo by Waheed (@Weeddd_)
Small accounts, drop down your names in the comment, and let's interact with each other.
13
31
8,660
Forms now open if you want oversized hoodie this winter
5
28
826
Darbar ki dehleez pe bethne wala faqeer zinda logon se mangta hai aur darbar k andr jane wale qabron se. Kon zyada aqalmand hai, sochne ki baat hai.
1
15
342
Khuda ne 18 hazar se zyada makhlooq banai hain, sirf insaan hi paisa kamata hai, aur koi bhi makhlooq kabhi bhooki nahin rehti aur insaan ka hi pait nahin bharta.
5
3
39
790
Humare mulk me afsar usko kaha jata hai jisko hath se kaam na krna prey, jb k dunya bhar me usko mazoor kaha jata hai.
19
352
Insaan ghalat krey to usko shaitaan ne behkaya hoga. Sawal yeh hai k shaitaan ko kisne behkaya tha? Baat kuch aur hai.
6
24
716
Agr momin aur kafir samandar me utr jaen, tou bacheyga wohi jisko tairna aata hoga. Khuda jahilon ki himayat nahin krta.
6
3
41
1,406
Aap pani se mutaliq 1000 kitaben prh kr bhi tairna nahin seekh skte, tairna seekhne k liye pani me utrna bht zaroori hai. Tou ishq kijiye.
4
1
17
399
Sarkari afsar 2 cheezain kabhi nahin chorta, aik rishwat aur aik zohr ki namaz.
9
1
48
1,316
Kisi Badshah ne aik Meerasi ko 2 talwaren tohfe me de di. Meerasi ne unko weld krwa kr chimta bana liya. Is liye intekhab krte huey tasdeeq zaroor krlen k samne wala apki dene wali cheez ka ehl hai bhi k nahin.
1
20
577
Main apko kamyaabi ka tareeka to nahin bata skta lekin nakaamyabi ka tareeka bs itna hai k "sbko khush krne ki koshish kren"
3
1
27
540
This years Coke Studio is by far the worst season ever produced.
9
1
36
901
Tandoor pe brhta hua mardon ka rush, aurton k taleem yafta hone ki nishaani hai.
7
2
60
3,971
Waqt, Mosam aur Log, sb ki aik jesi fitrat hoti hai, kon kb kahan aur kese badal jaye pta hi nahin chalta.
1
1
26
446
Pakistan me sirf petrol pump pe bani masjid firqon se paak hoti hai.
1
45
901
Saanp tumhe das chuka hai, aur tum ab bhi saanp ko yeh smjhane ki koshish kr rhe ho k tum uska dasna deserve nhin krte they.
3
17
479
Turkey ki aik kahawat hai k agr koi apko bhai boley to us se zaroor puch len "Habeel" ya "Kabeel".
1
14
322
Khana khane k bad apne ghr ki khawateen ka shukriya zaroor adaa kren, takey aap ko yeh mehsoos na ho k unho ne kisi janwar ko chaara daala hai
5
3
51
1,008
Humen kissey moujzon k sunaye gaye, aur phir humen ta-hayaat lahasil k intezar me aazmaya gaya...
2
23
458
Jis mulk ka Store "general" Chawal "Kernel" Cigarette "Captain" Cement "Fouji" Pankhey "AC DC" Akhbar "Jung" Operations "Major" aur har shaks nashey me "Jahaz" kehlaya jaye, wahan democracy ki baat kese ki jaye?
5
3
34
720
إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ With a heavy heart, I share the sad news that my beloved Dadi has passed away. Please remember her in your prayers. May Allah forgive her shortcomings, grant her Maghfirah, and highest ranks in Jannat-ul-Firdous.
35
1
1
194
3,345